Bhajan Library

Shiv Ke Charanwa Mein

Chorus

Shiv ke charanwa mein man mora laga

Bhagati ka diyana manwa mein jaaga

Verses

Damru trishool leke Antaryami

Man ke mandirwa mein aavo Swami

Bhagati ki laaj rakho

Toote na dhaga

Sunte hai Bholenath

Jaisa koi na dooja

Uspe kripa kare

Jisne bhi pooja

Use vardaan dete

Shiv muh maanga

Shiv abhishek Gangajal se karenge

Ganga ka dhyan Shiv ke sang hi karenge

Ganga ki pooja Shiv sang

Sone mein suhaaga

Sing · Shiv Ke Charanwa Mein · Bhajan Library