Bhajan Library

Shiv Bhola Bhandari He

Chorus

Jai Bhola Bhandari Shivhar

Jai Bhola Bhandari

Jai Kailashpati Shiv Shankar

Sab jag ke hitkari

Jai Bhola Bhandari Shivhar

Jai Bhola Bhandari

Verses

Nishdin tera dhyan karen hum

Sumiren mantra tihara

He Shiv Shankar mantra jagao

Hove ghat ujiyara

Namami Shankar namami Shankar

Kripa karo Tripurari

Shankhnaad se shabd jagaakar

Swar sangeet bahaya

Yug yug se yeh srishti naache

Aisa damaru bajaya

Teri yaad bhula ke jag mein

Dukh paaven sansari

Teeno taap haran kar leta

Yeh trishul tihara

Tera naam jape se jag mein

Milta mukti dwara

Mahadev Parabrahma Vidhata

Aaye sharan tihari

Sing · Shiv Bhola Bhandari He · Bhajan Library