Shiv Shiv Japle Prani
Chorus
Shiv Shiv japle prani
Teri amrit maya ho gi vaani
Verses
Bhola ban kar Bholenath ki
Bhakti jo karega
Shiv ji uspar kripa karenge
Shiv ka das banega
Ban jayega gyani
Kaal nahi kuchh kar payega
Mahakaal hain Shiv Kaaleshwar
Unka trishool hai sabka rakshak
Jap man mere Onkareshwar
Dhyan laga le dhyani
Parmanand Nateshwar Shiv ji
Adi anadi ananta
Baamang sohe nit bhari
Ardhangi Bhagwanta
Shiv ki shakti Bhawani