Bhajan Library

Jai Krishna Hare

Opening prayer

Vasudev sutam devam

Kansh charu mardanam

Devki parmanandam

Krishnam vande Jagadguru

Chorus

Jai Krishna Shri Krishna Hare

Dukhiyo ke dukh door kare

Jai jai jai Krishna Hare

Jai jai jai Krishna Hare

Verse 1

Jab charo taraf andhiyara ho

Aasha ka door kinara ho

Jab charo taraf andhiyara ho

Aasha ka door kinara ho

Aur koi naa khewan hara ho

Aur koi naa khewan hara ho

Phir Tu hi beda paar karo

Phir Tu hi beda paar karo

Chorus

Jai jai jai Krishna Hare

Jai Krishna Shri Krishna Hare

Dukhiyo ke dukh door kare

Jai jai jai jai Krishna Hare

Verse 2

Tu chahe to sabkuchh karde

Vish ko bhi amrat kar de

Tu chahe to sabkuchh karde

Vish ko bhi amrat kar de

Pooran karde unki aasha

Pooran karde unki aasha

Jo bhi Tera dhyan dhare

Prabhu jo bhi Tera dhyan dhare

Chorus

Jai jai jai Krishna Hare

Sing · Jai Krishna Hare · Bhajan Library