Jai Lakshmi Kalyanji Maiya
Chorus
Jai Lakshmi Kalyani Maiya
Jai Lakshmi Kalyani
Jai Lakshmi Kalyani Maiya
Sab aaye sharan tihari Maiya
De darshan Maharani
De darshan Maharani
Jai Lakshmi Kalyani Maiya
Jai Lakshmi Kalyani
Verses
Tu mangalmay pavan Maiya
Kripa sada barsave
Deen dukhi sharanagat jaan ke
Bigde kaaj banave
Tu anant mahadani Maiya
Jai Lakshmi Kalyani
Dev sabhi aradhan karte
Rishi muni dhyan lagate
Is nashwar sansar ke prani
Teri kirti gaate
Tu Devi vardani Maiya
Jai Lakshmi Kalyani
Tu raazi jispe ho jaave
Khole sukh ke dware
Man mein jagave gyan ki jyoti
Har leti andhiyare
Tu jyotirmayi Shivani Maiya
Jai Lakshmi Kalyani