Bhajan Library

Uddhar Karo Bhagawan

Verses

Kaise tera naam dhyaye

Kaise tumhari lagan lagaye

Hriday jagado gyan

Tumhari sharan pade

Uddhar karo Bhagawan

Tumhari sharan pade

Uddhar karo Bhagawan

Tumhari sharan pade

Panth maton ki sun sun baaten

Dwar tere tak pahunch na paate

Bhatke beech jahan

Tumhari sharan pade

Uddhar karo Bhagawan

Tumhari sharan pade

Uddhar karo Bhagawan

Tumhari sharan pade

Tu hi shyamal, Krishna Murari

Ram tuhi, Ganapati Tripurari

Tum hi bane Hanuman

Tumhari sharan pade

Uddhar karo Bhagawan

Tumhari sharan pade

Uddhar karo Bhagawan

Tumhari sharan pade

Aisi antar jyot jagana

Ham deeno ko sharan lagana

He Prabhu daya nidhan

Tumhari sharan pade

Uddhar karo Bhagawan

Tumhari sharan pade

Uddhar karo Bhagawan

Tumhari sharan pade

Sing · Uddhar Karo Bhagawan · Bhajan Library