Tum Vintee Suno
Refrain
Tum vintee suno sab kee, kalyaan karo jag kaa
Saha raaha dikha kar kay, udhaar karo Durga (2)
Verse 1
Darshan ho Maa tere, sab kee abhilaasha hai
Man me raho tum sab kee, tum se yeh aashaa hai
Kya mera kya uska, yeh apna paraya kya,
Sab jyoti jala karke, roshan karo jag saaraa
Tum vintee suno sab kee...
Verse 2
Sansaar to maayaa hai, kabhi dhoop kabhi chaaya hai
Ek din use jaanaa hai, jo bhi yaha aayaa hai
Kya rang hai jeewan kaa, kya roop hai maanav kaa
Tum gyaan barhakar ke, upkaar karo Durga
Tum vintee suno sab kee...