Shree Radhe Govinda Man Bhaj Le
Chorus
Shri Radhe Govinda, man bhaj le Hari ka pyara naam hai
Gopala Hari ka pyara naam hai
Nandalala Hari ka pyara naam hai
Shri Radhe Govinda, man bhaj le Hari ka pyara naam hai
Verse 1
Mor mukut sir, galban maala
Kesar tilak lagaye, kesar tilak lagaye
Mor mukut sir, galban maala
Kesar tilak lagaye, kesar tilak lagaye
Vrindavan ki kunj galin mein sabko naach nachaye
Oho sabko naach nachaye
Chorus
Shri Radhe Govinda, man bhaj le Hari ka pyara naam hai
Gopala Hari ka pyara naam hai
Nandalala Hari ka pyara naam hai
Verse 2
Yamuna kinare dhenu charave
Madhav madan murari, madhav madan murari
Yamuna kinare dhenu charave
Madhav madan murari, madhav madan murari
Madhur muraliya jabhi bajave
Har le sud budh saari, oho har le sud budh saari
Chorus
Shri Radhe Govinda, man bhaj le Hari ka pyara naam hai
Gopala Hari ka pyara naam hai
Nandalala Hari ka pyara naam hai
Verse 3
Giridhar nagar kehti Meera
Sur ko Shyamal bhaya, sur ko Shyamal bhaya
Giridhar nagar kehti Meera
Sur ko Shyamal bhaya, sur ko Shyamal bhaya
Tukaram aur Namdev ne Vitthal Vitthal gaaya
Oho Vitthal Vitthal gaaya
Chorus
Shri Radhe Govinda, man bhaj le Hari ka pyara naam hai
Gopala Hari ka pyara naam hai
Nandalala Hari ka pyara naam hai
Verse 4
Radha shakti bina na koi Shyamal darshan paave
Shyamal darshan paave
Radha shakti bina na koi Shyamal darshan paave
Shyamal darshan paave
Aaradhan kar Radhe Radhe, Kanha bhaage aavein
Oho Kanha bhaage aavein
Chorus
Shri Radhe Govinda, man bhaj le Hari ka pyara naam hai
Shri Radhe Govinda, man bhaj le Hari ka pyara naam hai