Bhajan Library

Nish Din Namoon Ganpati

Chorus

Nis din namoon Ganpati charan

Nis din namoon Ganpati charan

Ganpati charan jag dukh haran

Ganpati charan jag dukh haran

Verses

Santaap sab man ke haren

Mangal sada Ganpati karen

Man kar raha pratah smaran

Nis din namoon Ganpati charan

Bal buddhi ke tum Devata

Bhar bhakti hriday sevata

Shankar suvan taran karan

Nis din namoon Ganpati charan

Tumhari kripa beant hai

Dukhiyon pe tu dayavant hai

Hum aa gaye teri sharan

Nis din namoon Ganpati charan

Sing · Nish Din Namoon Ganpati · Bhajan Library