Bhajan Library

Namo Namo

Intro

Jai ho, jai ho Shankara

(Bholenath Shankara)

Aadi Dev Shankara

(Hey Shivay Shankara)

Tere jaap ke bina

(Bholenath Shankara)

Chale ye saans kis tarah?

(Hey Shivay Shankara)

Verse 1

Mera karm tu hi jaane, kya bura hai kya bhala

(Kya bura hai kya bhala, kya bura hai kya bhala)

Tere raaste pe main to aankh moond ke chala

(Aankh moond ke chala, aankh moond ke chala)

Tere naam ki jot ne, saara har liya tamas mera

Chorus

Namo namo ji Shankara

Bholenath Shankara

Hey Triloknath Shambhu

Hey Shivay Shankara

Namo namo ji Shankara

Bholenath Shankara

Rudradev hey Maheshvara

Bridge

Srishti ke janam se bhi, pehle tera vaas tha

Ye jag rahe ya na rahe, rahegi teri aastha

Kya samay? kya pralay?

Dono mein teri mahaanta, mahaanta, mahaanta

Sing · Namo Namo · Bhajan Library