Mateshwari Jagdambike
Opening
Saras supavan Shakti he
Tejomayi apaar
He anand swarupini
Mam hriday kar ujiyar
Chorus
Jagdambike jai jai Jag Janani Maa
Kya manhar naam suhaya hai
Varun sab kuchh Maa charnon par
Mere man ko ye bhaya hai
Verses
He prempunj he karunamayi
He Adi Shakti Jag Janani Maa
Tera varad hast mere sheesh rahe
Balak tere charnon mein aaya hai
Gurudev ke andar baith ke Maa
Tumne khelon ko khela tha
Us manjul vesh mein aa karke
Patiton ko gale lagaya hai
Dukhiyon ko gale lagaya hai
Shri Ram tuhi Shri Krishna tuhi
Durga Kali Shri Radha tu
Brahma Vishnu Shiv Shankar mein
Tera hi tej samaya hai
Ho namaskar mera baar baar
He Shakti tihare charnon mein
Mujh adham patit dukhiyare ko
Karuna kar hriday lagaya hai
Maa jo paaun tumse paaun
Jo deve usmein harshaaun
Kuchh rahe na mera apnapan
Maine sarvasva chadaya hai
Jai jai Maa jai jai Maa