He Prabhu Anand Data
Opening
Om Bhur Bhuvah Swaha
Tat Savitur Varenyam
Bhargo Devasya Dhimahi
Dhiyo Yo Nah Prachodayat
Chorus
He Prabhu Anand Data, gyan hamko dijiye
Shighra sare durguno ko, door hamse kijiye
Verses
Lijiye hamko sharan mein, ham sada chari bane
Brahmachari dharma rakshak, vir vrat dhari bane
He Prabhu Anand Data, gyan hamko dijiye
Ninda kisi ki ham kisi se, bhool kar bhi na kare
Irshya kabhi bhi ham kisi se, bhool kar bhi na kare
He Prabhu Anand Data, gyan hamko dijiye
Satya bole, jhooth tyage, mel aapas mein kare
Divya jivan ho hamara, tere yash gaya kare
He Prabhu Anand Data, gyan hamko dijiye
Jay hamari ayu he Prabhu, lok ke upkar mein
Haath dale ham kabhi na, bhool kar apkar mein
He Prabhu Anand Data, gyan hamko dijiye
Matribhumi matriseva, ho adhik pyari hame
Desh mein seva mile nij, desh hithakari bane
He Prabhu Anand Data, gyan hamko dijiye
Kijiye ham par kripa, aisi he Paramatma
Moh mad matsar rahit hove hamari atma
He Prabhu Anand Data, gyan hamko dijiye
Prem se ham guru jano ki, nitya hi seva kare
Prem se ham dukhijano ki, nitya hi seva kare
He Prabhu Anand Data, gyan hamko dijiye