He Parmeshwar Vishwa Vidhaata
Chorus
He Parmeshwar Vishwa Vidhata
Mam vandan sweekar karo
He paripuran Brahma he Data
Deenan ka uddhar karo
Verses
He karunamaya he sukhkari
Sukh shantimaya bhav bhaya hari
Tera sumiran man ko bhata
Nath kripa ek baar karo
He sarvagya sahayak Swami
Prem puneet he Antaryami
Sharan ho tera naam pukarta
Ab to daya Kartaar karo
Bhet karun kya kuchh nahi mera
Tujhe samarpit jeevan tera
Rahoon yahi anand manata
He Prabhu pavan pyar varo