Ab Soup Deeva
Chorus
Ab saup diya is jeevan ka sab bhar tumhare haatho mein
Hai jeet tumhare haatho mein aur haar tumhare haatho mein
Verse 1
Mera nishchay bas ek yahi ek baar tumhe mai pa jaaun
Ek baar tumhe mai pa jaaun
Arpan kar du duniya bhar ka sab pyar tumhare haatho mein
Ab saup diya is jeevan ka sab bhar tumhare haatho mein
Hai jeet tumhare haatho mein aur haar tumhare haatho mein
Verse 2
Jo jag mein rahun to aise rahu jo jal mein kamal ka fool rahe
Jo jal mein kamal ka fool rahe
Mere gun dosh samrpit ho bhagwan tumhare haatho mein
Ab saup diya is jeevan ka sab bhar tumhare haatho mein
Hai jeet tumhare haatho mein aur haar tumhare haatho mein
Verse 3
Yadi maanus ka mujhe janma mile tab charno ka mai pujai banu
Tab charno ka mai pujai banu
Is pujag ki ek ek nas ka sab taar tumhare haatho mein
Ab saup diya is jeevan ka sab bhar tumhare haatho mein
Hai jeet tumhare haatho mein aur haar tumhare haatho mein
Verse 4
Jab jab sansar ka kaidi banu nishkam bhav se karm karoon
Nishkam bhav se karm karoon
Fir ant samay mein pran taju nirakar tumhare haatho mein
Ab saup diya is jeevan ka sab bhar tumhare haatho mein
Hai jeet tumhare haatho mein aur haar tumhare haatho mein
Verse 5
Mujhame tujhame bas bhed yahi mai nar hun aap narayan ho
Mai nar hun aap narayan ho
Mai hun sansar ke haatho mein sansar tumhare haatho mein