Bhajan Library

Aaye Bhi Akela

Chorus

Aaye bhi akela

Jaaye bhi akela

Do din ki zindagi hai

Do din ka mela

Do din ka mela

Aaye bhi akela

Jaaye bhi akela

Do din ki zindagi hai

Do din ka mela

Do din ka mela

Verses

Teri zindagi mauj hai do ghadi ki

Ye baaten hain naadaa sab jeete ji ki

Sab jeete ji ki

Ye duniya hui hai na hogi kisi ki

Wohi ek manzil hai har aadmi ki

Har aadmi ki

Jahaan sab ko jaana padega akela

Do din ki zindagi hai

Do din ka mela

Do din ka mela

Chorus

Aaye bhi akela

Jaaye bhi akela

Do din ki zindagi hai

Do din ka mela

Do din ka mela

Verses

Ek baar saath deke saath na chhorna

Jaan jaaye to jaaye dosti na todna

Dosti na todna

Nazren na pher lena muh ko na modna

Duniya ko chhor dena yaar ko na chhorna

Yaar ko na chhorna

Dekho Mansoor kaise jaan pe khela

Do din ki zindagi hai

Do din ka mela

Do din ka mela

Chorus

Aaye bhi akela

Jaaye bhi akela

Do din ki zindagi hai

Do din ka mela

Sing · Aaye Bhi Akela · Bhajan Library