Bhajan Library

Shambh Sadashiv Japle Re

Chorus

Shambhu Sadashiv japle re

Teri sab bigadi ban jaaye

Verses

Chal kaanwariya Shiv ke dham

Shiv Shankar ka le ke naam

Adidev hain Shiv Mahadev

Shiv Bholenath Digambar

Apne tan saza le bande

Shiv ke naam ki chadar

Tan man usise dhak le re

Teri sab bigadi ban jaaye

Shiv ji deepak Shiv ji baati

Shiv ji hain ujiyaara

Nain ki jyoti Shiv ji mere

Har lenge andhiyaara

Jyotirmaya man kar le re

Teri sab bigadi ban jaaye

Kaanwar ke kalash mein apne

Shraddha ka jal bhar le

Baidyanath ke jyotirling pe

Use samarpit kar de

Charnon mein sir rakh de re

Teri sab bigadi ban jaaye

Sing · Shambh Sadashiv Japle Re · Bhajan Library