Saat Rang Mein
Chorus
Saat rang mein khel rahi hain
Dil waalon ki toli re
Bheege daaman choli re
Are apne hi rang mein rang le mujhko
Yaad rahegi Holi re
Verse 1
Laal gulaabi neele peele
Rang hain duniya waalon ke
Pyaar ke rang mein doob gaye dil
Dekho ham matwaalon ke
Are ujla mukhda dekh ke tera
Rang ude hain ujaalon ke
Saat rang mein khel rahi hain
Dil waalon ki toli re
Verse 2
Aanda hai ik baar saal wich
Phaagun da maheena
Naha ke rang mein nikhar gayi hai
Aaj hai ritu haseena
Are is mausam mein jo na bheege
Kya hai uska jeena
Saat rang mein khel rahi hain
Dil waalon ki toli re