Bhajan Library

Rakh Laaj

Chorus

Rakh laaj meri sindoor ki, Gaura Parvati

Rakh laaj meri sindoor ki

Shiv Shankar ki pyari, Gaura Parvati

Mohe ek tera hi aasra

Tu hi taranhari, Gaura Parvati

Rakh laaj meri sindoor ki

Verses

Hari Har ka man harne wali

Tu satiyon mein maha sati

Tujhsa kiska tap hai jispe

Dol gaye Kailashpati

Main dukhiyari hoon, main dukhiyari

Sab kuch hari, aayi sharan tihari

Gaura Parvati

Rakh laaj meri sindoor ki

Shiv Shankar ki pyari, Gaura Parvati

Rakh laaj meri sindoor ki

Aanchal mein tum dard chhipaye

Seeche jeevan ki kyari

Kya dukh sahne ko hi janmi

Janam jali Bharat nari

Ghayal ki gat ho, ghayal ki gat

Ghayal jaane, nari na dukh nari

Gaura Parvati

Rakh laaj meri sindoor ki

Shiv Shankar ki pyari, Gaura Parvati

Mohe ek tera hi aasra

Tu hi taranhari, Gaura Parvati

Rakh laaj meri sindoor ki

Sing · Rakh Laaj · Bhajan Library