Lakshmi Maiya Utaren Teri Aarti
Chorus
Lakshmi Maiya utaren teri aarti
Barsa do Maa kripa
Sabki naiya dukhon se tu hi taarti
Barsa do Maa kripa
Verses
Ann dhan dene wali tuhi
Tuhi jag ko paale
Daya se teri hum sab jeeven
Sabko tu sambhaale
Teri bhakti jaagi dil mein
Nishdin karte vandan
Tu hai Shakti Parmeshwar ki
Kaato bhav ke bandhan
Prem ka deep jala ke Maiya
Aarti teri utaren
He jag jyoti kasht nivarini
Har lena andhiyari
Sharan tihari aaye Maiya
Mangal keerat gaayen
Haath jod hum vinti karte
Charan sheesh jhukaayen