Lagan Tose Laagi Re Damruwale
Chorus
Lagan tose laagi re Damruwale
Damruwale bhole bhale
Shivshankar matwale
Verses
Jai Nageshwar jayati Chandradhar
Jaya Shiv Gangadhari
Haath trishool hai damru aala
Ang bhasma Tripurari
Darshan kar le moorakh manwa
Bigadi apni bana le
Dhyan mein mere Shiv ki murat
Dhyan mein Shiv ka shivaala
Shiv par hi mere man ko bharosa
Shiv hai deendayala
Jiska nahi hai koi jag mein
Uske Shiv rakhwale
Shiv se ho kalyaan jagat ka
Shiv se shrishti saari
Shiv bhakton ke Mahadev hain
Jan jan ke hitkaari
Bhavsagar mein dagmag naiya
Shiv ji use sambhale
Damru baja ke Shiv ji ne jab
Apni jata lehrayi thi
Parvati ne Shiv ke gale mein
Var maala pehnayi thi
Wah ratri Shivratri ban gayi
Manwa Shiv gun gaa le