Bhajan Library

Kailashwasi Devta Dinanath Hain

Chorus

Kailashvasi dewata deenanath hai vishwanath hai

Vaamang sohe Ambika deenanath hai vishwanath hain

Verses

Jayati jaya Ambe Bhawani

Jayati jaya Shiv Pashupati

Shiv bhaal sohe chandrama

Sohe jata Bhagirathi

Prabhu Neelkanth Digambara

Shobha kul chhavi raj ki

Naareesh jan gan keerti ka

Deenanath hai vishwanath

Shiv se hi sohe jeev van

Sohe sakal ye vasundhara

Parvat salil sagar nadi mein

Vyapt Shiv Parmeshwara

Shrishti mein jinse bhavyata

Deenanath hai vishwanath hai

Prabhu Ashutosh tridosh har

Kalyaan karte sarvada

Damru ke dim dim taal par

Karte hai taandav Shiv sada

Bholi hai jinki udaarata

Deenanath hain vishwanath hain

Sing · Kailashwasi Devta Dinanath Hain · Bhajan Library