Jinke Hriday Shriram Rame
Chorus
Jinke hriday Ram rame
Unhen kahe ki kami
Unko kahe ki kami
Unko kahe ki kami
Japle Ram Siya Ram
Bolo Ram Siya Ram
Jai jai Ram Siya Ram
Verses
Ram ki mahima jo nit gaaye
Unke bhagya hain bhari
Ramayan ka path jo karte
Unki main balihari
Jinke hriday Ram laganiya
Aathon yaam lagi
Unko kahe ki kami
Ram naam Tulsi ne gaaya
Bhavsagar bhay paara
Ram naam nit jape Kabira
Bhaya Ram deedara
Ram chunariya odh ke Meera
Joganiya bani
Usko kahe ki kami
Ram rachaiya saare jag ka
Sabka jeevan data
Wohi bandhu pran atma
Guru pita aur mata
Unki sharan mein lago bhaiya
Unsa koi nahi
Phir to kahe ki kami