Jata Joot Mein Shivji Ke
Chorus
Jata joot mein Shiv ji ke Ganga ji lehrayi
Bhakton ko taaran ke liye dharti pe ye chali aayi
Verses
Bhagirath ki dekh tapasya
Maan gayi thi Ganga ji
Dharti par aane ke liye
Taiyaar hui thi Ganga ji
Prashna utha Ganga ki veg ko
Roke kaun bhu par
Bhagirath ne kaha mujhe vishwas
Shiv Shambhu par
Shiv ne jata lehrayi
Ganga Maiya aake samayi
Bhakton ko taran ke liye
Dharti par chali aayi
Pitaron ke uddhar ke liye
Dekho Bhagirath Raja ji
Ganga ji ko dhara pe laaye
Siddh kiye sab kaaj ji
Ganga se Shiv Shankar ka
Shringaar ho gaya pyara
Unke sheesh bhae nirantar
Ganga ji ki dhara
Ganga ji mein jo bhi nahaye
Paawan use banaye
Bhakton ke taaran ke liye
Dharti pe chali aayi