Jai Shankar Bhole
Opening
Jai Shankar Bhole
Jai Shankar Bhole
Jai Shankar Bhole
Chorus
Jai Shiv Shankar Jai Shiv Shankar
Jai Shankar Bhole
Sab devon mein Dev Nirale
Jai Bam Bam Bhole
Verse 1
Mahadev tune hi to sab
Devo ka santaap hara
Sagar manthan mein nikla vish
Tune apne kant dhara
Isiliye har prani tujhko
Neelkanth bole
Sab devon mein Dev Nirale
Jai Bam Bam Bhole
Verse 2
Tere naam aneko Baba
Teri mahima nyari
Tere bhed anokhe sabse
Kya jaane sansari
Tuhi hai Kailashpati
Tu Parvat par dole
Sab devon mein Dev Nirale
Jai Bam Bam Bhole
Verse 3
Shish tumhari Ganga Maiya
Chandra shikar pe sohe
Tan pe sarp vicharte rahte
Bhakton ke man mohe
Usko kaisa kasht jagat mein
Naam tera jo le
Sab devon mein Dev Nirale
Jai Bam Bam Bhole
Closing
Jai Shiv Shankar Jai Shiv Shankar
Jai Shankar Bhole
Sab devon mein Dev Nirale
Jai Bam Bam Bhole
Jai Bam Bam Bhole
Jai Bam Bam Bhole