Bhajan Library

Jai Jai Hanuman Gusain

Opening

Devi haro Hanuman Mahaprabhu

Jo kachhu sankat hoye hamaro

Kaun so sankat mor garib ko

Jo tumso nahin jaat hai taro

Chorus

Jai jai jai Hanuman Gosai

Kripa karo Maharaj

Jai jai jai Hanuman Gosai

Kripa karo Maharaj

Verses

Tan mein tumhare shakti viraje

Man bhakti se bheena

Jo jan tumhari sharan mein aaye

Dukh darad har leena

Hanumat dukh darad har leena

Mahavir Prabhu hum dukhiyana ke

Tum ho garib nivaz Hanumat

Jai jai jai Hanuman Gosai

Kripa karo Maharaj

Ram Lakhana Vaidehi tum par

Sada rahe harshaye

Hriday cheer ke Ram Siya ka

Darshan diya karai Hanumat

Do kar jodh araj Hanumanta

Kahiyo Prabhu se aaj Hanumat

Kahiyo Prabhu se aaj Hanumat

Closing

Jai jai jai Hanuman Gosai

Kripa karo Maharaj

Jai jai jai Hanuman Gosai

Sing · Jai Jai Hanuman Gusain · Bhajan Library