Bhajan Library

Jahan Shivji Vichran Karte Hain

Chorus

Jai Vishwanath Om Namah Shivaye

Jahan Shiv ji vicharan karte hain

Us bhoomi ko Kashi kehte hain

Ye moksha dayini Kashi

Ye patitpawini Kashi hai

Verses

Mathura Ayodhya Haridwar

Dwarka Avantika Kashi

Puri saat hain moksha daayini

Sabse badh kar hai Kashi

Hum Kashi ke pawan raj kan ko

Nij apne sheesh pe rakhte

Anandvan Rudravas ye

Shiv Kashi Varanasi

Maha shmashaan hai tapasthali

Mukta bhumi Varanasi

Tripurari ki nagari hai yeh

Shiv Shambhoo ki hai yeh nagari

Jagvipada hari nagari

Ganga tat bhari nagari

Jahan paap sabhi ke mitate hain

Us bhoomi ko Kashi kehte

Shiv trishool pe thehri hui hai

Param pawini yeh Kashi

Param bhakti ki khaan hai ye

Jan man bhaawan ye Kashi

Sakal dewata angin roop se

Nitya hi poojan karte

Jyotirling Vishweshwar ji ka

Nit darshan karte rehte

Jahan Vishwanath ji baste hain

Us bhoomi ko Kashi kehte hain

Sing · Jahan Shivji Vichran Karte Hain · Bhajan Library