Hay Lakshmi Mata Daya Karo
Chorus
Hay Lakshmi Mata daya karo
Dharti par sab ke dukha haro
Tuhi jaga ki Mata
Bhavsagar nadiya paar karo
Verses
Dhan daulat tum dene wali
Tuhi paap hatane wali
Har gyan barhao, vardaan dewo
Aavo tumhara darshan do
Yuga yuga tum dharti par aayi
Bhakto ke liye sukh dham karayi
Kalyan karo, sab sukhi rahe
Yahi tere laal pukare