Dagar Hai Mushkil Kathin Safar Hai
Chorus
Dagar hai mushkil, kathin safar hai
Magar musafir jaga nahin hai
Jo soyega, bas wahi khoyega
Jo soyega, bas wahi khoyega
Ye baat usko pata nahin hai
Dagar hai mushkil, kathin safar hai
Magar musafir jaga nahin hai
Verse 1
Lagenge phal jab kisi vriksh mein
Wo ped jhuk jayenge swatah hi
Akad tane ki bata rahi hai
Akad tane ki bata rahi hai
Abhi phal ismein laga nahin hai
Chorus
Dagar hai mushkil, kathin safar hai
Magar musafir jaga nahin hai
Verse 2
Jo khandani rais hote
Mizaaj rakhte hain narm apna
Tumhara lehja bata raha hai
Tumhara lehja bata raha hai
Tumhari daulat nai-nai hai
Chorus
Dagar hai mushkil, kathin safar hai
Magar musafir jaga nahin hai
Verse 3
Zara si kudrat ne kya nawaza
Ki aa ke baithe ho pehli saf mein
Abhi se udne lage hawa mein
Abhi se udne lage hawa mein
Abhi ye shohrat nai-nai hai
Chorus
Dagar hai mushkil, kathin safar hai
Magar musafir jaga nahin hai
Dagar hai mushkil, kathin safar hai
Magar musafir jaga nahin hai
Jo soyega, bas wahi khoyega
Jo soyega, bas wahi khoyega
Ye baat usko pata nahin hai
Dagar hai mushkil, kathin safar hai
Magar musafir jaga nahin hai