Bhaiya Mere Rakhi Ke
Chorus
Bhaiya mere, rakhi ke bandhan ko nibhana
Bhaiya mere, chhoti behan ko na bhulana
Dekho ye nata nibhana
Verse 1
Ye din ye tyohar khushi ka
Pavan jaise neer nadi ka
Bhai ke ujle mathe pe
Behan lagaye mangal teeka
Jhoome ye saawan suhaana
Verse 2
Baandh ke humne resham dori
Tumse wo ummeed hai jodi
Naazuk hai jo saans ke jaise
Par jeevan bhar jaaye na todi
Jaane ye saara zamana
Verse 3
Shayad wo saawan bhi aaye
Jo pehla sa rang na laaye
Behan paraaye desh basi ho
Agar wo tum tak pahunch na paaye
Yaad ka deepak jalaana