Bhagwan Meri Naiya
Verses
Bhagwan meri naiya
Us paar laga dena
Ab tak to nibhaya hai
Aage bhi nibha dena
Ham deen dukhi nirbal
Nit naam rahe pratipal
Yah soch darash doge
Prabhu aaj nahi to kal
Jo baag lagaya hai
Phulon se saja dena
Bhagwan meri naiya
Us paar laga dena
Ab tak to nibhaya hai
Aage bhi nibha dena
Tum shanti sudhakar ho
Tum gyan divakar ho
Mam hans chuge moti
Tum maan sarovar ho
Do bund sudharas ki
Hamko bhi pila dena
Bhagwan meri naiya
Us paar laga dena
Ab tak to nibhaya hai
Aage bhi nibha dena
Rokoge bhala kabtak
Darshan ko mujhe tumse
Charnon se lipat jaoon
Vrikshon se lata jaise
Ab dwar khadi tere
Mujhe raah dikha dena
Bhagwan meri naiya
Us paar laga dena
Ab tak to nibhaya hai
Aage bhi nibha dena
Majhdhaar padi naiya
Dagmag dole bhav mein
Aao Trishla Nandan
Ham dhyan dhare man mein
Ab Tanvar kare vinti
Mujhe apna bana lena
Bhagwan meri naiya
Us paar laga dena
Ab tak to nibhaya hai
Aage bhi nibha dena