Badhai Ho Badhai Janamdin Ki
Chorus
Badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
Badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
Janamdin tumhārā, mileñge laḍḍū hamko
Janamdin tumhārā, mileñge laḍḍū hamko
Badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
Badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
Verse 1
Sadā dil lagā ke tū mehanat se paṛhnā
Mehanat se paṛhnā
Paṛhāī meñ aage se aage hī baṛhnā
Aage hī baṛhnā
Achhā jī batāo maiñne aisā kyoñ kahā?
Jo tum paas hoge, mileñge laḍḍū hamko
Jo tum paas hoge, mileñge laḍḍū hamko
Badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
Badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
Verse 2
Baṛe ho ke lānā hamārī tū bhābhī
Hamārī tū bhābhī
Ke jiskī ho rañgat gulābī-gulābī
Gulābī-gulābī
Achhā jī batāo maiñne aisā kyoñ kahā?
Tumhārī hogī shādī, mileñge laḍḍū hamko
Tumhārī hogī shādī, mileñge laḍḍū hamko
Badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
Badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
Verse 3
Buṛhāpe meñ hoñge idhar bāl pakke
Idhar bāl pakke
Udhar hoñge ghar meñ jī bachchoñ ke bachche
Jī bachchoñ ke bachche
Achhā jī batāo maiñne aisā kyoñ kahā?
Tumhāre hogā potā, mileñge laḍḍū hamko
Tumhāre hogā potā, mileñge laḍḍū hamko
Badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
Badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko